Question Summary: Secret Nikah Question Detail:
Mera naam ------ hain mia bahut pareshan hu. Aj se karib 5 saal pehle jab study karta tha mene ik ger mazhab ladki ko deen ki dawat dekar usse nikah kar liya lekin ye nikah sir 2 logo ke bich hua yani ik mera friend jo gawah bna or ik or dusra dost tha jisne nikah padhaya. Is nikah ke baare me mere ghar me pta nhi. Iske baad ghar walo ne shadi ke liye zor daala to mai bahut pareshan tha ki kya karu lekin esa laga ki agar ghar me bta diya to mere maan baap jite ji mar jayege to mene chupa rkha or pehli biwi se ijazat lekar apne ghar walo ki marzi se njikah dusra kiya. Us waqt itne samajh dari nhi thi lekin ab bahut pareshan hu ki kya karu kese dono ko barabar haq du or apne ghar me kab btau or kya batau? Or ik sawal ki kya mera pehli wali wife ke sath nikah mana jayega kuki bass 2 logo ke samne hua. Please jaldi jawab de or dua kare mere haq me.
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh. Baraye karam aap chand chizo ki wazahat kijye taa ke hum sahi jawab de sake: 1) Sab se pehle aap ye bataye ke jis larki se aap ne pekle nikah kiya tha (ghari mazhab) to wo kis maznab se taluk rakh ne wali thi ? 2) Aap ne farmaya ke aap us ko deen ki dawat de rahethe to kya us ne Islam kabool kiya tha? Or kya nikah ke wakt wo musalman bangayi thee? And Allah Ta’āla Knows Best Ismail Dawoodjee Student Darul Iftaa Zambia Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai. www.daruliftaa.net
|
Main Categories More Questions
|