Question Summary: Qurbani and aqeeqa Question Detail:
me pechle kuch saloo se ALHAMDO LILLAH qurbani kar raha hoon, lakin is martaba kisi se suna k agar kisi ka aqeeqa na howa ho tu wo qurbani nhi kar sakta. mere aqeeqa nhi howa. tu mere liye kiya masla hai. kiya me apna aqeeqa khud kar sakta hoon ya aolaad ka aqeeqa sirf waldain hi kar sakte hai. me married ho qur do bache b hain maine apne dono bacho ka aqeeqa kiya howa hai.
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh. Pahli bat ye he ke Qurbani ka daromadar aqeeqa par nahi balke aadmi ka ayame qurbani me sahibe nisaab hone par he. [1] Lihaza surate masalah me app ki qurbani hogayi or aap ka bachpan ka aqeeqa na hon qurbani par muathir nahi he. Doosri bat ye he ke aap ko jis ne ya bat kahi ke aqeeqa ke baghir qurbani nahi hoti he ghalat he, isliye ke aqeeqa ki haythiyat Shariat me zyada se zyada mubaah he [2]or baaze Ulama ke nazdeek mustahab he.[3] lihaza aap apne liye abhi aqeeqah kar na chahte ho our app ke pass wusat ho to app karsakte ho magar koyi lazimi baat nahi he. [4] Tisree bat ye he ke ye koyi lazimi bat nahi he ke walidayn hi apne awlaad ki aqeeqa karsakte he balke koyi bhi rishtedar mathalan dada chacha waghyra bhi karsakte he.[5] App ke soorat me app bazate khud app ka aqeeqa kar sakte ho. And Allah Ta’āla Knows Best Ismail Dawoodjee Student Darul Iftaa Zambia Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai. www.daruliftaa.net فتاوى محمودية ج26 ص228 م محمودية[1] فتاوى محمودية ج26 ص417 م محمودية[2] العقيقة عن الغلام وعن الجارية وهي ذبح شاة في سابع الولادة وضيافة الناس وحلق شعره مباحة لا سنة ولا واجبة كذا في الوجيز للكردري(الهندية ج5 ص362 رشيدية) و قد ذكر غرر الافكار ان العقيقة مباحة...او تطوع على ما فى شرح الطحاوى (شامى ج6 ص326 سعيد و زكر محمد(رحمه الله) في العقيقة فمن شاء فعل و من شاء لم يفعل هذا يشير الى الاباحة (بدائع ج6 ص296 علمية) فتاوى مفتى محمود ج9 ص613 جمعية ببلكيشنز[3] فتاوى محمودية ج26 ص415 م محمودية[4] عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَقَّ عَنِ الْحَسَنِ، وَالْحُسَيْنِ كَبْشًا كَبْشًا..سنن أبي داود 2841 [5]
|
Main Categories More Questions
|