Go back to category : Prayer
  

Question Summary:
Urdu Question

Question Detail:

Q. 1 :  durud e ibrahimi ka hindi me tarjuma bataye .
Q. 2 :  Umer Bhar ki Qaza Namaz Padhne Ka Sahi Tarika Our Neeyat karne ka tarika yani ki jaise main sabse pahle qaza hui namaz padh li to ab us se baad ki namaz our phir us se baad ki namaz ki neeyat kya hogi . 
Q 3 :  namaz ke doran dimag me was wase aate he unse bachne ke liye kya namaz me hi ( la ho la wala ...) padh sakte he ya nahi 

Answer :

Answer:
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
1.      Durude Ibrahim Kaa Tarjumah Zail Main Mazkur Hai.
 
“Ay Allah! Rahmate Khaassah Naazil Farmaa Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Par Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke Khaandaan Par, Jis Tarah Aap Ne Rahmate Khaasah Naazil Farmaee Ebrahim (Alaihissalam) Par Aur Ebrahim (Alaihissalam) Ke Khaandaan Par, Aur Barkat Farmaa Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Par Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke Khaandaan Par Jis Tarah Aap Ne Barkat Farmaee Ebrahim (Alaihissalam) Par Aur Ebrahim (Alaihissalam) Ke Khaandaan Par. Baishak Aap Hee Tareef Ke Laaiq Hain Aur Buzurg Hasti Hai.”
 
2.      Jo Tareeqah Suwaal Main Mazkur Hay, Woh Sahee Tareeqah Hay. [1]
 
3.      Namaaz main (Laa Hola Wa Laa Quwwata…) Nahee Padhnaa Chaahiye.[2]  Aap Namaaz Main Qiraat Karte Waqt, Quran Ke Alfaaz Par Ghor Karte Rahain. Is Se Namaaz Main Tawajuh Rahaigi. Namaaz Ke Baahir, Ziyaada Se Ziyaada Allah Kaa Zikr Karain.  Is Se Namaaz Main Dihaan Baaqi Rahaiga.   
 
And Allah Ta’āla Knows Best
Mawlana Abdul Azīm bin Abdur Rahman,
Student Darul Iftaa
U.S.A.

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

 
 


[1]  (قوله كثرت الفوائت إلخ) مثاله: لو فاته صلاة الخميس والجمعة والسبت فإذا قضاها لا بد من التعيين لأن فجر الخميس مثلا غير فجر الجمعة، فإن أراد تسهيل الأمر، يقول أول فجر مثلا، فإنه إذا صلاه يصير ما يليه أولا أو يقول آخر فجر، فإن ما قبله يصير آخرا، ولا يضره عكس الترتيب لسقوطه بكثرة الفوائت. وقيل لا يلزمه التعيين أيضا كما في صوم أيام من رمضان واحد، ومشى عليه المصنف في مسائل شتى آخر الكتاب تبعا للكنز وصححه القهستاني عن المنية، لكن استشكله في الأشباه وقال إنه مخالف لما ذكره أصحابنا كقاضي خان وغيره والأصح الاشتراط. اهـ.

قلت: وكذا صححه في الملتقى هناك، وهو الأحوط، وبه جزم في الفتح كما قدمناه في بحث النية وجزم به هنا صاحب الدرر أيضا. (رد المحتار، ج 2، ص 76-77، سعيد)

 

[2]  ( المصلي إذا وسوسه الشيطان فقال لا حول ولا قوة إلا بالله إن كان ذلك ) الذي وسوسه ( في أمر ) من أمور ( الآخرة لا تفسد صلاته ( وإن كان في أمر ) من أمور ( الدنيا تفسد كذا ذكره في الذخيرة ) لأن الوسوسة ألم فكأنه حوقل بسبب أمر أخروي في الأول وبسبب أمر دنيوي في الثاني (حلبي صغير، ص 267، دار النشر العلمية) 

Main Categories  More Questions  


Online Tutor Available

 
Masnoon Duaein
Islamic Question & Answers
Aaj ki baat
Mazameen
Asma ul Husna
Tilawat e Quran
Qasas-ul-Anbiya
Multimedia
Essential Duas For A Muslim
Khawateen Kay Masaeel

© 2024 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
search-sharai-masaeel