Question Summary: Naming a newborn. Question Detail:
1. Inaaya kaisa name for girl , ess name kiya meaning ha oor ya name apnay matlab(Concern, solicitude) ka aitabar sa theak ha? 2. Haram oor Shayma name kaisa ha?
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh. Rasulullah Sallallahu Alaihi wa sallam ne ache naam rakne ki taleem farmay[1]: Chunanche aapke irshaad hai قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " إِنَّكُمْ تُدْعَوْنَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِأَسْمَائِكُمْ وَأَسْمَاءِ آبَائِكُمْ , فَأَحْسِنُوا أَسْمَاءَكُمْ " “Tum Qiyaamat ke din apne aur apne baap ke naamo se bulaaye jaao ge, tum apne ache naam rackho”. Inaayah naam theek hai. Iske mana “ataa karneka he. Haram or Sheen munaasib naam nahi he. Musalman hone ke naate, hamara ye deeni fareeza hai ke hum hamare baccho ke naam Ambiya, Sahabah aur Buzurgaane deen ke muqaddus naamo ke mutaabiq rakhein. Hamari bacchiyo ke naam bhi hamare pyaare Nabi Sallallahu Alaihi wa Sallam ki paakeeza Azwaaj ke naamo ki tarah “Khadeeja, Aisha, Zainab Maimuna etc rakhna chahiye. Aese naamo ki taaseer hoti hai, aur bacchiyo me bhi in muqaddus hastiyon jaisi seefaat hone ki achi umeed sakhi jaa saktihe. And Allah Ta’āla Knows Best Muhammad Yaasir Iunus Hussen Student Darul Iftaa Mozambique Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai.
[1]السنن الكبرى للبيهقي (9/ 515)
|
Main Categories More Questions
|