Go back to category : Islamic Question & Answers
  

Question Summary:
Kya Talaq Waqi huwa?

Question Detail:

Aslam-o-alikum, meri shadi ko 10 saal ho gayaiy hain, hamari olaad nahi hoi jis ke wajhaa saiy hamaraiy ghar aksar jhaghraiy shuroo ho gayaiy thaiy jis wajha saiy aakhir kaar mairaiy sussar naiy mairaiy waalid ko black mail kernaiy lag gayaiy kaiy meri aik hee baitee haiy or mujhaiy jaan saiy ziyada azeez haiy lihaza iss naiy olaad ka sacrifice kiya haiy to iss kaiy naam property likh ker do ya phir meri baiti kaiy naam per 1 carore fix ker kaiy do agar yeh sharayit nahi maantaiy to phir meri beti ko talaak daiy do jis per mairaiy walid naiy apni dolat or property bachanaiy kaiy liyaiy arzi nawees saiy sarkari khaghaz per talaak nama tiyaar kiya giya jiss main likha giya kaiy olaad na honaiy ke wajhaa saiy khawand apni marzi saiy apni bewi ko talaak talaak talaak daita haiy iss kaiy baad in ka apas main koi taluk nahi ho ga mairaiy saiy sign liyaiy gayaiy meri bewi saiy sign liyaiy gayaiy 2 gawaah bhi dalaiy gayaiy halaan kaih iss pooraiy wakiyaiy main main naiy Orally talaak kaiy three words nahi bolay iss main naa hee meri bewi ke or na hee meri marzi shamil thee kiyoon kaih hum seperate hargiz nahi hona chahtaiy thaiy. Jhagrhaiy kis ghar main nahi hotaiy hum main bhee hotaiy hain lakin main apni bewi ko bohat piyar karta hoon. To mufti sahib aap saiy gurzarish haiy kaiy shariyat kaiy mutabik aap bataiyain kaih aisaiy main talaak ho jatee haiy.

Answer :

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
 
Arzi nawees me kya likha tha? Asal maktoob ham par bejiye. Aap ke walid saheb ki taraf se saain karne keliye dabaaw tha? Uski tafseel likhye . Aap ne kyun saain kiya. Saain karte waqt aap ki bewi saamne thi? Un sawaalaat ke jawaabaat admin@daruliftaa.net par bejiye.
 
And Allah Ta’āla Knows Best
Ibn Jibran Kadarkhan
Student Darul Iftaa
Mauritius

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

 

Main Categories  More Questions  


Online Tutor Available

 
Masnoon Duaein
Islamic Question & Answers
Aaj ki baat
Mazameen
Asma ul Husna
Tilawat e Quran
Qasas-ul-Anbiya
Multimedia
Essential Duas For A Muslim
Khawateen Kay Masaeel

© 2024 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
search-sharai-masaeel