Go back to category : Islamic Question & Answers
  

Question Summary:
Kya, jis aurat se mujh ko shaadi karne ka irada hei, me us se taaluq rakh sakta hu?

Question Detail:

Aslam o Alikum Mufti sahb! mera sawal yeh ha k mjy aik larki se mohabbat ha mgar is mohabbat se pehly ma kafi sare gunah ka murtakib tha mgar us larki se talauq k bad mjy Allah ki pehchan mili ha mjy sufiyana rung mila ha ab ma Alhamd o Lillah 5 waqt ka Namazi bhi hn r apny gunahon se toba bhi krta hn hr wqt Allah ki zikr r Astaghfar se Zuban tar rehti ha hm 2no ki mgar us se phone pe bat krta hn r kbi b by hayai ki bat hm dono me ni hui wo bi muj se mohabbat krti ha hm dono nikah ki khalis niyat rkhty hen mgar aaj k dor k halat ap khud janty hen smj ni aata kia kia jay mgar hm Allah Tala se aik dosray k haq me dua krty hen k Allah pak hme nikah k pak bandhan me jor dy hmari mohabbat sirf Allah ki raza ha r hm aksar hi Islamic topic pe guftagoo krty hen us k halat pasmanda hony ki wja se ma us ki maali madad bhi kr deta hn kia ac mali madad jazz ha. us se nohabbat k bad mjy Allah ki zaat pe sobh k taloh hony ki trah yaqeen ha mgar sawal yeh ha k hmara tauluq jazz ha ya na jaz jb k hm apny nafs ko nikah hony se pehly tk qaboo me rkhtay hen r Allah ki panah chahty hen hmari rehnumai krain kahin hm Allah k azab ki zad me na aa jayen plz jald Rehnumai krain Shukria

Answer :

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Bohot khushi ki baat he ke aap touba karte rehte he apne gunaho par aur aap paanch waqt namaaz parte he aur zikr wagera ache kaamo me lage huwe hei. Allah paak aapko istiqamat ata farmaye aur gunaho se bachne ki taufiq ata farmaye. Aameen.
Aapke taaluq ko jaiz karne ka tariqa nikah hei. Jab tak ke aap nikah na kare, aap ke liye is aurat se har qisam ke taaluq najaiz hoga, agar che, Deeni baate kyu na ho. Agar aap thora sabar karenge aur dua karte rehenge or apne aapko is najaiz taaluq se dur rakhenge to zarur inshaAllah, Allah aap dono ke liye raasta kholenge aur aapka nikah hoga aur aap is aurat ke saath apni halaal izdiwaaji zindagi guzarenge. Is waqt, taaluq torde aur nikah ka intizaam karle.
And Allah Ta’āla Knows Best
Ridwaan Ibn Khalid Esmail[Kasak]
Student Darul Iftaa
Katete, Zambia
Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

 

Main Categories  More Questions  


Online Tutor Available

 
Masnoon Duaein
Islamic Question & Answers
Aaj ki baat
Mazameen
Asma ul Husna
Tilawat e Quran
Qasas-ul-Anbiya
Multimedia
Essential Duas For A Muslim
Khawateen Kay Masaeel

© 2024 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
search-sharai-masaeel