Go back to category : Islamic Question & Answers
  

Question Summary:
Iddat of a Widow

Question Detail:

Assalamoalaikum,
Kisi aurat ke shohar ka inteqal ho gaya hai. shuru se un dono miya biwi ki azdwaji zindagi khushgawar nahi rahi hai. biwi shuru se nokri karti hai. shohar ke inteqal se lagbhag 2 sal pahle se shohar ne kharcha dena band kar diya tha. biwi abhi ek madarsa chalati hai jis mai uski mehnat se 40-50 bacche talim hasil kar rahen hain. madarsa ghar se door hai. Unke madarse na jane se Madarse mai dusri teachers  laparwahi barat ti hain. Wo agar madarse na jay to madarsa band hone ke imkan hain. Us aurat ke teen bacche hai do ladke aik ladki teeno ki shadi ho chuki hai. dono ladko ki mashi halat thik nahi hai.
sawal yeh hai ki woh aurat agar madarse ke baccho ke nuqsan ki wajah se madarse ja sakti hai ya nahi.

Answer :

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Ayyam-e-iddat me agar kharch ka intezaam ho, to mehaz madrasa ke band hone ke khadshe se ghar se bahar nikalna ja`iz nahi.[1] [2] [3] [4] [5]
Mutadda[iddat guzaarne wali khatoon] madrase ki muallimaat ko is amr ka papand bana sakti hain ke dauran-e-iddat woh hafta-warana[weekly] taleemi report khud laker ya email wagera se pesh karti rahein. Is se madrase ka taleemi nizam bhi durust rahega aur muttada to ghar se nikalna bhi nahi padega.
And Allah Ta’āla Knows Best
Anas Sharieff Qasmi
Student Darul Iftaa
Hyderabad, India. 

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

[1] Fatawa Taatarkhaniyah [244/5]
[2] Bada`i [454/4]
[3] Almuhit-Ulburhani [236/5] فأما المتوفى عنها زوجها فلا باس بان تخرج بالنهار لحاجتها  
[4] Ahsan-Ulfatawa [431/5] متعدہ موت کے پاس اگر نفقہ نہ ہو تو کسب معاش کی حاجت سے گھر سے نکل سکتی ہے.المستفاد:لان نفقتها عليها فتحتاج للخروج حتى لوكان عندها كفايتها صارت كالمطلقة فلا يحل لها الخروج.
[5] Aap ke masail aur unka hal [399/5] اگر خرچ کا انتظام ہو،تو ملازمت بھی جائز نہیں.
 
 
 
 

Main Categories  More Questions  


Online Tutor Available

 
Masnoon Duaein
Islamic Question & Answers
Aaj ki baat
Mazameen
Asma ul Husna
Tilawat e Quran
Qasas-ul-Anbiya
Multimedia
Essential Duas For A Muslim
Khawateen Kay Masaeel

© 2025 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
search-sharai-masaeel