Question Summary: Can one give Zakah to his father-in-law? Question Detail:
Assalam o alaikum, Hazrat mera name Ahsan uz zaman hai aur mera ek sawal hai islam k mutabiq. Ek aurat ka shohar kamanay wala hai aur woh apni zakat ki raqam kisi ko daina chahta hai aur us ny apni zakat ki raqam dainay ki ijazat apni biwi ko dy di hai k woh jis bhi mustahiq ko daina chahay dy sakti hai, to kia beti apnay baap ko woh raqam dy sakti hai? us ka baap maqrooz hai, us ka qarz ada karnay k liay? Umeed hai aap ko sahi sawal samjha saka hon main. jawab ka muntazir hon. ALLAH hafiz
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh. Usoolan ek admi apne sussar (Father-in-law) ko apni Zakat ki raqam ada kar sakta hai. Is soorat e hal mein, biwi shohar ki wakeel hai. Chunanche, beti/biwi shohar ki Zakat ki raqam apne bap (jo shohar ka sussar hai) ko ada kar sakti hai.[1] And Allah Ta’āla Knows Best Abdullah ibn Mohammed Aijaz Student Darul Iftaa Baltimore, USA Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai.
بدائع الصنائع في ترتيب الشرائع (2/ 50) [1]
قال النبي: - صلى الله عليه وسلم - «نفقة الرجل على نفسه صدقة وعلى عياله صدقة وكل معروف صدقة» ويجوز دفع الزكاة إلى من سوى الوالدين والمولودين من الأقارب ومن الإخوة والأخوات وغيرهم؛ لانقطاع منافع الأملاك بينهم
رد المحتار - ط. بابي الحلبي (2/ 346)
تاترخانية ويجوز دفعها لزوجة أبيه وابنه وزوج ابنته
|
Main Categories More Questions
|