Question Summary: Urdu Question Question Detail:
humein aapse yeh question puchna tha ke agar koi insaan quraan sharif pe hath rakhkar galt kasam kha le...aur usse iss baat ka pachtava ho..tho vo kya kare allah se maufi mangne ke liye ..plzz humein bateien
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh. Awwalan yeh samajhna bohat dharuri hai kay jhooti qasam lena bohat bara guna hai. Behar haal, agar koi shakhs jhooti qasam le le, to use fawran sacchi pakki taubah karni chahiye aur azm karna chahiye ke aise dobarah nahin karega. Fil haal, aisi jhooti kasam khane se kaffarah to nahi lazim hoga, magar thori raqm sadaqah mein de deni chahiye agar ho sake. And Allah Ta’āla Knows Best Checked and Approvedby, Mufti Ebrahim Desai Saheb
|
Main Categories More Questions
|