Go back to category : Islamic Question & Answers
  

Question Summary:
When is the correct time to stand up for salah?

Question Detail:

Q: namaz me iqamat se pehle khara hua jaye ya iqamat k doraan khara hua jaye.????
 
ANS: NAMAZ BA-JAMAAT KE LIYE KIS WAQT KHADE HO?
.
HADEES: H.Abu Qatadah r.a bayan karte hain ki Rasoolullah alaihesalam ne farmaya,
Jab Namaz ki aqamat ho to us waqt tak na khade ho, jab tak mujhe na dekh lo.
(Muslim, Kitab Mawazeus Salaat, H.no.1324-1325),
(Bukhari, H.no.637-638-909)
(Abu Dawood, H.no.539-540)
(Tirmizi, H.no.592)
(Nisai, H.no.686-789)
.
Muslim Sharif me Is Hadees ki Sharah ke tehet Imam Nawawi ne Qazi Ayaz Maliki ka qaul naqal kiya aur farmaya ki jab Moazzin Aqamat par pahuche, us waqt khade ho,
H.Unais ka qaul hai ki jab Moazzin 'Qadqa matis sallah' par pahuche tab khade ho,
H.Imam Abu Hanifa ka qaul hai
Jab moazzin 'Hayya Alas Salaah' par pahuche is waqt khade ho.
.
Tamam Fuqaha-e-Kiram ke aqwaal per ghaur karte hue Ulama-e-Kiram farmate hain ki jab moazzin
'Hayya Alas Salaah'
kahe is waqt itminan se khade ho aur tab tak Moazzin
'Qadqa matis Salaah'
tak padh lega.
(Sharah Muslim, By: Imam Nawawi)
.
.
Aaj sare Wahabi Deobandiyo ki Masjid me Takbeer ke shuru 'Allahu Akbar Allahu Akbar'
se hi uthkar khade ho jate hain,
jabki Nabi alaihesalam ne khud hi Takbeer ke shuru me khade hone se mana farmaya aur kaha ki
'Jab Takbeer ho to us waqt tak na khade ho, jab tak mujhe na dekh lo'
.
To Pata chala ki Takbeer ke shuru me hi Jamaat ke liye khade ho jana Sunnat nahi hai.
.
Aye Wahabiyo, tum koi bhi aisi Dalil laakar do, Jo Muslim ki Hadees se zyada qawi ho aur jisme likha ho ki Shuru Allahu Akbar se hi Khade ho jana chaahiye,
......
please answer with sahi hadith..
Jazak allah ho khaira

Answer :

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Muhtaram Bhai,
Aap kae sawaal kae jawaab dae nae mae hamae kuch haraj nahee. Albatta pehlae in sawaaloe kae jawaabat dijiyae:

  • Yae bataawoe kae aap kya aalim hae yaa nahee?
  •  aap nae sarf, nahw, balaaghat aur mantiq kee kitabae  parhee hae yaa nahee? Agar parhee hae toe koen koen see?
  •  Aap fiqh mae barae maahir lagtae hoe. Aap nae Fiqh aur Usool Fiqh kee kin kitaaboe kaa muta`la`aa kiyaaha hae?
  • Aap nae kin ahaadeeth kee kitaboe kaa mutala`aa kiya hae? Kyaa aap poorae zakheera`e ahadeeth sae waaqif hoe? Hadith kee kitnee qismae hae? Kyaa aap bazaatae khud saheeh aur ghayr saheen ahadith mei tameez kar saktae hoe? aap kee kyaa ma`loomaat hae hadeeth kae fun mae. Aap nae koen koen see kitaaboe kaa mutaala`aa kiyaa hae.
  • Baraaye karam aap waadhih kijiyae kae aap kya kehna chahtae hoe. Kya aap kaa maslak bamutaabiqe sahih muslim kee sahih hadith hae  ya`ni “Jab Takbeer ho to us waqt tak na khade ho, jab tak mujhe na dekh lo'”  yaa yae kae musallee koe “Hayya Alas Salaah” par karaa honaa chahyae joe “Tamam Fuqaha-e-Kiram ke aqwaal per ghaur karte hue Ulama-e-Kiram farmate hain”. Aap kaa amal hadeeth kae mutaabiq hae yaa fuqaha kae aqwaal kae mutabiq? Doenoe mae bazahir tafaawut hae. Please answer with clarity. Bayyinoo faltoojaroo[1].
  •  
    And Allah Ta’āla Knows Best
    Hanif Yusuf Patel
    Student Darul Iftaa
    UK

    Checked and Approved by,
    Mufti Ebrahim Desai.

    www.daruliftaa.net


    [1] See [Fatāwa Rahimiyyah, 4: 104-7, Dar al-Ishā`at Karachi]

    Main Categories  More Questions  


    Online Tutor Available

     
    Masnoon Duaein
    Islamic Question & Answers
    Aaj ki baat
    Mazameen
    Asma ul Husna
    Tilawat e Quran
    Qasas-ul-Anbiya
    Multimedia
    Essential Duas For A Muslim
    Khawateen Kay Masaeel

    © 2024 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
    search-sharai-masaeel