Go back to category : Islamic Question & Answers
  

Question Summary:
I Assume That Someone Has Done Magic On My Friend. What Should We Do? (Urdu)

Question Detail:

Meri aik azeza han jo kafi dino sa bht pareshan han, onhon na mehsos kya h jasa on pa jado hwa ha onhon na manzil parhni shru ki to bemar rehna lagin mehrbani frma k koi asa hal btain jis sa jado ka asar zail ho jay. Hmara Nabi Pak SAW pa bhi jado kya gya tha to koi mustanid hal btain ap ki mehrbani ho gi

Answer :

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Mumkin hai ke aapki azeeza ko kuch medical problem ho. Aap ko chahye ke unko pehle kisi doctor ke paas lejaye. Ye doctor unko dekh kar batai gaa ke unko konsi bimaari hai. Phir uska ilaaj batai gaa. Phir jo dawai doctor aapki azeeza ko batlai, unko chahye ke un dawai ko doctor ke kehne par le le. Mumkin hai ke Allah Ta’ala unko iske zarye Shifa ata farmai gaa.
Aakhir mai, har taaqat Allah Ta’ala ke haath mai hai. Wo Aalimul Ghaib hai aur har cheez ko janta hai. Hum ko ye nahi ma’loom ke kisi ne haqeeqat mai aapki azeeza par jadoo kiya hai ya unko koy aur bimaari lahiq hai.
 Aap ki azeeza ko chahye ke wo har roz Allah se Dua karti rahe aur Manzil parha kare aur Har roz (Qul A’uzu Bi Rabbil Falaq) aur (Qul A’uzu Bi Rabbin Naas) ko bhi parha kare. [1]
Ham bhi Allah se Dua karte hai ke wo aapki azeeza ko jald se jald Shifa ata farmaye. Ameen!
 
 
And Allah Ta’āla Knows Best
Abdul Hannan Nizami,
Student Darul Iftaa
Chicago, USA

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

 


[1] كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَتَعَوَّذُ مِنْ عَيْنِ الْجَانِّ، ثُمَّ أَعْيُنِ الْإِنْسِ، فَلَمَّا نَزَلَتِ الْمُعَوِّذَتَانِ، أَخَذَهُمَا وَتَرَكَ مَا سِوَى ذَلِكَ (سنن ابن ماجه، ج2ص1161، دار إحياء الكتب العربية)

Main Categories  More Questions  


Online Tutor Available

 
Masnoon Duaein
Islamic Question & Answers
Aaj ki baat
Mazameen
Asma ul Husna
Tilawat e Quran
Qasas-ul-Anbiya
Multimedia
Essential Duas For A Muslim
Khawateen Kay Masaeel

© 2024 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
search-sharai-masaeel