Go back to category : Misc. Fiqh
  

Question Summary:
Khwab ka kya matlab he?

Question Detail:

"meri ek friend ne khwab dekha k wo apne mayke mein hai jo ban raha hai, tabhi uske papa ne use uska beta diya h ye kehkar ke le sambhal apne zamir ko (jo kuch maah pahle expire ho chuka hai) .

Answer :

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Khwab ki mithal eysi he jis tarah ek musafir raasta pe safr kar raha ho. Musafir safar kart e huwe bohot sare manaazir dekhta rehta he. Baaz manazir us ko ache awr khoobsurat lagte he awr baaz us ko itne ache awr khoobsurat nahi lagte. Chunanche musafir safar karte huwe apna diyan awr tawajjuh nahi chornta awr ye sare manazir dekne ke liye nahi rukta.

Isi tarah hum sab dunya me musafir he. Hamara diyan awr tawajjuh khwabo ki aarzi dunya ki taraf diyan awr tawajjuh nahi hona chahye. Hame zindigee ki haqeeqi baate par tawajjuh dalna chahye. Khwaboh ko yad karte huwe awr us ke tabeeraat par ghawr awr fikr karna abath kam he. Khwaboh zindigi ko nahi badal sakte.

Apni zindigi ka maqsad par ghowr awr fikr karna chahye. Allah Taala Quran Kareem me farmaate he:

 

وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنْسَ اِلَّا لِيَعْبُدُوْن[1]

Tarjamah:

Me ne jinnat awr insan ko sirf meri ibadat ke liye payda kiya (Dhariyaat: 56)

Allah Taala ki taraf rujoo karo. Kathrat se salat zikr awr dua me lage raho.

And Allah Ta’āla Knows Best

Mizanur Rahman

Student, Darul Iftaa

UK

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

______

[1]  القرآن الكريم (الذاريات: 56)

Main Categories  More Questions  


Online Tutor Available

 
Masnoon Duaein
Islamic Question & Answers
Aaj ki baat
Mazameen
Asma ul Husna
Tilawat e Quran
Qasas-ul-Anbiya
Multimedia
Essential Duas For A Muslim
Khawateen Kay Masaeel

© 2024 Ya-mujeeb.com. All rights reserved
search-sharai-masaeel