Question Summary: Zakat on money saved to buy flat Question Detail:
Assalamo alikum
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Agar kisi shaks ke paas 87.479 grams sona ya 612.35 grams chandi ho, ya 612.35 chandi ki maaliyat ho, aur ye maal uske hawaaij-e-asliyah [basic needs] se aur usper jo qarz hai usse zaaid ho, to aise shaks ko Sahib-e-Nisab kehte hain. Jab is maal per saal guzar jaye to aise shaks per Zakat ada karna farz hai.
Surat-e-masla mein aap ke paas 10 lakh [one million] hai jo aapki savings hai, agar is per saal guzar gaya ho to aap per iski zakat nikalna farz hai. Yaad rahe har har paise per saal guzarna zaroori nahi.
Isi tarah zever ki zakat bhi nikali jayegi yaani agar zever sone ki shakal mein ho aur who 87.479 grams ke barabar ya use zyadah ho, ya chandi ka ho aur who 612.35 grams ke barabar ya use zyadah ho, ya dono tarah ka zever ho aur dono ki kul maliyaat 612.35 ki maaliyat ke barabar ya zyadah ho to saal guzarne per uski zakat zever ka maalik ada karega. [1] [2] [3]
Farz Namaaz ba-jamaat ada karein aur Allah se dua karein. InshaAllah kaamyabi naseeb hogi.
Allah aap ko chain-o-sukoon wala, acha aur kushada makaan ata farmaye. Ameen
And Allah Ta’āla Knows Best
Anas Sharieff Qasmi.
Student Darul Iftaa
Hyderabad, India.
Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai.
______
[1] Contemporary Fatawa volume 2/177
[2] المحيط البرهاني ٣/١٥٦
الزكاة واجبة في الذهب الفضة مضروبة كانت أو غير مضروبة..........إذا بلغت الفضة مائتي درهم والذهب عشرين مثقالا
[3] الفتاوى السراجية ١٣٧
الزكاة في الفلوس الرائجة كما في دراهمنا اليوم لا تجب ما لم يكن قيمتها مائتي درهم من الدراهم ...... أو عشرين مثقالا من الذهب
|