Question Summary: Wazifah for children Question Detail:
Janab mujhe Allah ne 2 betiyan di hai. But meri wife or mai chate hai k Allah pak humy beta bhi ata kare. Koi wazifa bta dein ya mere lye dua karen k Allah pak mujhe beta ata kare afiyat k sath or mujhe email par iska answer dein.
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Allah Ta’ala is Ayat me farmate he
{يَهَبُ لِمَنْ يَشَاءُ إِنَاثًا وَيَهَبُ لِمَنْ يَشَاءُ الذُّكُورَ (49) أَوْ يُزَوِّجُهُمْ ذُكْرَانًا وَإِنَاثًا وَيَجْعَلُ مَنْ يَشَاءُ عَقِيمًا إِنَّهُ عَلِيمٌ قَدِيرٌ} [الشورى: 49، 50]
Tarjuma: Jiss ko Chahe betiya ataa karta he aur jis ko chahe bete ata karta he (49) ya jinn ke waste chahe bete aur baytiya dono ko jama kar deta hai aur jiss ko chahe be awlaad kar deta hai be shak wo bara hi janne wala bara hi qudrat wala he (50) (Suratush Shura: 49-50)
Lihaaza Allah Ta’la jo insaan ko ata farmaye, us par Allah ka shukar adaa karna chahiye. Taahum, Insaan Allah Ta’ala se apni Jaaiz khawaahishaat ka sawal karsakta he, aur agar Allah insaan ki chaahat ko ataa farmaye, to ye sirf aur sirf Allah Ka Fazal he.
Insaan Allah se jis waqt be pure yaqeen ke sath Duaa karta he, to Allah Insaan ki Duaa ko qabool farmate he. Iss Hadith me Nabi ﷺ ne bayan farmaya he ke kis waqt me dua’ zyaadi qubool hoti he:
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ قَالَ: قُلْتُ: يَا رَسُولَ اللهِ، أَيُّ الدُّعَاءِ أَسْمَعُ؟ قَالَ: «جَوْفَ اللَّيْلِ الْآخِرِ، وَدُبُرَ الصَّلَوَاتِ الْمَكْتُوبَاتِ»
السنن الكبرى للنسائي (9/ 47)
Hadhrat Abu Umama Radhiyallahu Anhu kehte he ke Rasulullah ﷺ se kahaa gaya “Ya Rasoolallah! Kis waqt duaa zyaada qabool hoti he? Aap ne farmaya raat ke darmiyaani hisse me, aur farz namazo ke baad (Sunnan An-Nasaai 9/47)
And Allah Ta’āla Knows Best
Riḍwān
Student Darul Iftaa
UK
Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai
|