Question Summary: Dua and Shukr Question Detail:
Assalamu laykum hazrat molana muj ko allah ke neimat ka shukar ada karnay ke koe aise dua bata dejeyeh jis ko mai chaltay phirtay pad sako
Answer :
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. As-salāmu alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh. Mashallah ye badi masarrat ki baat hai ke aap her waqt Allah ka shukr baja lana chate hain. Allah Ta`ala ko bhi ye baat bahut pasand hai ke banda shukr guzaar bane aur na shukri na kare “فاذكروني أذكركم واشكروا لي ولا تكفرون” So tum yaad rakho mujh ko me yaad rakhoo tumko, aur ihsaan mano mera aur nashukri mat karo.[i]
Aap kasrat se durood padhien[ii]
Masnoon dua`ao ki papandi karien[masalan khane se phele aur baad ki dua.Isi tarah kapde pehenne,sawari ki dua wagerah]ye sab dua`ien shukr ada karne hi ke liye Rasullahﷺ ne ummat ko batayi.Dekhiye neend ek badi neymat hai, to so ker uthne ki dua batayi,sawari ek neymat he, us per sawaar hone ki dua taleem farmayi,hatta ke istinjaa se farig hone ke baad tak ki bhi dua na chodi(dialysis karwane wale haqeeqat jante hain ke ye choti aur badi zaroorat ka aana bhi kitni badi neymat hai).Lihaza is ka khaas khayal rakhien aur her mauqe ki dua yaad bhi karlein.
Subhaanallahi Wa Bihamdihi Subhaanallahil Azeem ki badi fazeelat hai,Allah ta`ala ko ye kalimaat bade pasand hain.[iii]
Har fardh namaz ke baad,jab aap sunnat o nawaafil se farig hojayien to 33 martabah Subhaanallah,33 martabah Alhumdolillah aur 34 martabah Allahu Akbar padhne ka ihtemam farmayien.[iv]
Akhiri baat ye ke Allah ki di hui her neymat ka sahi istemaal bhi shukraane neymat hai aur misuse na shukri hai.Umoor bala ka lihaaz rakhne se aap Insha Allah shakireen ki fehrist me hi raheinge. And Allah Ta’ala Knows Best Anas Ullah Sharieff Student Darul Iftaa Hyderabad, India Checked and Approved by, Mufti Ebrahim Desai.
[ii] من صلى علي صلاة صلى الله عليه بها عشرا (مسلم408: )
[iii] عن أبي هريرة رضي الله عنه قال قال رسول الله - صلى الله عليه وسلم: ( كَلِمَتَانِ حَبِيبَتَانِ إِلَى الرَّحْمَنِ خَفِيفَتَانِ عَلَى اللِّسَانِ ثَقِيلَتَانِ فِي الْمِيزَانِ سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ ) رواه البخاری[ج:٢ص: 1129ط؛قدیمی کتب خانہ]
[iv] عن أبي هريرة رضي الله عنه عن رسول الله- صلى الله عليه وسلم:«مَنْ سَبَّحَ الله فِي دُبُرِ كُلِّ صَلاةٍ ثَلاثاً وَثَلاثِينَ، وَحَمِدَ الله ثَلاثاً وَثَلاثِينَ، وَكَبَّرَ الله ثَلاثاً وَثَلاثِينَ، فَتِلْكَ تِسْعَةٌ وَتِسْعُونَ، وَقَالَ تَمَامَ المِائَةِ: لا إلَهَ إلَّا الله وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الملْكُ وَلَهُ الحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَديرٌ غُفِرَتْ خَطَايَاهُ وَإنْ كَانَتْ مِثْلَ زَبَدِ البَحْرِ [مسلم ج:3ص:272]
|
Main Categories More Questions
|